Email marketing सीखना है तो देखो यह video

Digital marketing ke is series me aaiye aaj sikhte hai email marketing. Email marketing सीखना है 2019 mein.
More videos:
Digital marketing: https://youtu.be/9Uoh0heMSpc
Email marketing ke 3 charan/phases: https://youtu.be/x-a5VG0M2e0
Digital Marketing courses ki saari jankari: https://youtu.be/wY0liOQh870

Yaad hai wo din jab hum kaafi baar apna email check kia karte the. Aaj kal to facebook ke updates aur twitter ke tweets me dhyaan jyaada hota hai par iska matlab yah nai ki email ki value kam hui hai. Aaj bhi email utna hi important hai jitna pehle tha par log ko dhyaan email se kheechna thoda mushkil ho gaya hai

Hamaare is digital marketing ke series me aaj hum seekhenge email marketing.

Email marketing kya hai.
Email marketing matlab jab ham apne business ko email ya newsletters se promote karte hai

Kisi ke email inbox me apna email bhejna mehmaan banke kisi ke gharpar jaane jaisa hai. Hame unka poora samman karna hai aur acche se behave karna hai.

Email list:
Matlab ki un logo ki email ids jinhone ne aapko apna email diya hai aapke website par ya kisi aur tarike se.

Koi jab aapko apna email id website par deta hai to uske man me kuch sawaal aate hai. Jaise mujhe kya milega email id dekar.
Kya tum mujhe spam karoge
Kitni baar email karoge aur kab kab
Kya koi discount milega tumhare products pe.

Sirf enter your email to get updates likhne se kuch nai hoga. Aapko kuch baaton ka dhyaan rakhna hoga.

Newsletters kya hai:
Newsletters me hamaare products ki information hoti hai jiske dwaara ham apne readers ke saath communicate kar sakte hai.
Agar aapke website par user ne newsletters ke liya signup kia hai to aap har hafte ya har din unko apne products me baare me updates bhejoge.

3 technical baaten email marketing me jo dhyaan me rahe:
Open rate
Click through rate ctr
Unsubscribe

website: https://www.codehindi.com
facebook: https://www.facebook.com/codehindi
youtube: https://www.youtube.com/codehindi
twitter: https://www.twitter.com/codehindi

SEO Agency Philadelphia
¤